Pikay: Ye kavita ussi lalkaar ka pararoop hai jo swatantrta sangharsh ke samay Subhash ji ne sabhi deshvasiyon ko di thi... jab mainey ye kavita padhi to mujhey aisa prateet hua ke aaj bhi wahi awaaz punah jeevit hokar sabka awaahan kar rahi hai.. kyunki desh aaj fir visham paristhitiyon ka saaamna kar raha hai..aur usko koi bahar laa sakta hai to wo hum hain..
Kaise? Iska uttar main nahi jaanta ..lekin uski talaash avashya kar raha hun.. Shayad is khoj ka jaldi hi apney samapan evam apney parinaam se milan hoga..
Dhanyavad Gopal Ji aapki in panktiyon ke liye..
Jai Hind
Veh khoon kaho kis matlab ka jismein ubaal ka naam nahin
Veh khoon kaho kis matlab ka aa sake desh ke kaam nahin
Veh khoon kaho kis matlab ka jismein jeevan na ravaani hai
Jo parvash hokar behta hai veh khoon nahin hai paani hai
Us din logon se sahi sahi khoon ki keemat pehchaani thi
Jis din subhash ne burma mein maangi unki qurbaani thi
Bole swatantrta ki khatir balidan tumhe karna hoga
Bahut jee chuke ho jag mein ab aage marna hoga
Aazaadi ke charnon me jo jaimala chadhai jayegi
Veh suno tumhare seeshon ke phoolon se goonthi jayegi
Aazadi ka sangraam kaheen paise par khela jaata hai
Yeh sheesh katane ka sauda nange sar jhela jaata hai
Aazaadi ka itihaas kaheenkali syahi likh paati hai
Iske likhne ke liye khoon ki nadi bahai jaati hai
Bole subhash is tarah nahin baton se matlab sarta hai
Lo yeh kagaz hai kaun yahan aakar hastakshar karta hai
Isko bharne wale jan ko sarwasv samarpan karna hai
Apna tan man dhan jan jeevan mata ko arpan karna hai
Par yeh saadharan patra nahin aazadi ka parwana hai
Is par tumko apne tan ka kuchh ujjwal rakht girana hai
Wah aage aaye jiske tan mein bhartiya khoon behta hai
Wah aage aaye jo apne ko hindustani kehta hai
Wah aage aaye jo is par Khooni hastakshar karta hai
Saari janta hunkar utthi hum aate hai hum aate hain
Mata ke charnon mein yeh lo hum apna rakht chadate hain
Saahas se bade yuwak us din dekha badte hi jaate the
Chakoo churi katariyon se woh apna rakht girate the
Phir usi rakht ki syaahi mein ve apni kalam dubate the
Aazadi ke parwane par hastakshar karte jaate the
Us din taaron ne dekha hindustani vishwaas naya
Jab likha maha ranveeron ne khoon se apna itehaas naya.
-
Gopal Prasad ‘Vyas’